Tuesday, 16 July 2013

कैसे बताऊ मैं तुम्हे

Kaise Bataaoon Main Tumhe 
mere Liye Tum Kaun Ho, Kaise Bataaoon 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
tum Dhadkanon Ka Geet Ho 
jeevan Ka Tum Sangeet Ho 
tum Zindagi Tum Bandagi 
tum Roshni Tum Taazgi 
tum Har Khushi Tum Pyaar Ho 
tum Preet Ho Manmeet Ho 
aankhon Mein Tum Yaadon Mein Tum 
saanson Mein Tum Aahon Mein Tum 
neendon Mein Tum Khwaabon Mein Tum 
tum Ho Meri Har Baat Mein 
tum Ho Mere Din Raat Mein 
tum Subaah Mein Tum Shyaam Mein 
tum Soch Mein Tum Kaam Mein 
mere Liye Paana Bhi Tum 
mere Liye Khona Bhi Tum 
mere Liye Hasna Bhi Tum 
mere Liye Rona Bhi Tum 
aur Jaagna Sona Bhi Tum 
jaaoon Kahin Dekhoon Kahin 
tum Ho Vahan, Tum Ho Vahin 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
tum Bin To Main Kuch Bhi Nahin 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
mere Liye Tum Kaun Ho 
yeh Jo Tumhaara Roop Hai 
yeh Zindagi Ki Dhoop Hai 
chandan Se Tarsha Hai Badan 
behti Hai Jis Mein Ek Agan 
yeh Shokhiyaan Yeh Mastiyaan 
tumko Hawaaon Se Mili 
zulfein Ghataaon Se Mili 
honton Mein Kaliyaan Khil Gayi 
aankhon Ko Jheele Mil Gayi 
chehre Mein Simti Chaandni 
aawaaz Mein Hai Raagini 
sheeshe Ke Jaisa Ang Hai 
phoolon Ke Jaisa Rang Hai 
nadiyon Ke Jaisi Chaal Hai 
kya Husn Hai Kya Haal Hai 
yeh Jism Ki Rangeeniyaan 
jaise Hazaaron Titliyaan 
baahon Ki Yeh Golaaiyaan 
aanchal Mein Yeh Parchhaaiyaan 
yeh Nagriyaan Hai Khwaab Ki 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
haalat Dil-e-betaab Ki 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
mere Liye Tum Kaun Ho 
kaise Bataaoon, Kaise Bataaoon 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
mere Liye Tum Dharam Ho 
mere Liye Imaan Ho 
tum Hi Ibaadat Ho Meri 
tum Hi To Chaahat Ho Meri 
tum Hi Mera Armaan Ho 
takta Hoon Main Har Pal Jisse 
tum Hi To Voh Tasveer Ho 
tum Hi Meri Taqdeer Ho 
tum Hi Sitaara Ho Mera 
tum Hi Nazaara Ho Mera 
yudhyaan Mein Mere Ho Tum 
jaise Mujhe Ghere Ho Tum 
purab Mein Tum Pachhim Mein Tum 
utar Mein Tum Dakshin Mein Tum 
saare Mere Jeevan Mein Tum 
har Pal Mein Tum Har Chir Mein Tum 
mere Liye Rasta Bhi Tum 
mere Liye Manzil Bhi Tum 
mere Liye Saagar Bhi Tum 
mere Liye Saahil Bhi Tum 
main Dekhta Bas Tumko Hoon 
main Sochta Bas Tumko Hoon 
main Jaanta Bas Tumko Hoon 
main Maanta Bas Tumko Hoon 
tum Hi Meri Pehchaan Ho 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
devi Ho Tum Mere Liye 
mere Liye Bhagwaan Ho 
kaise Bataaoon Main Tumhe 
mere Liye Tum Kaun Ho 
kaise - 

No comments:

Post a Comment